GURU DIALOGUES ( PAANCH MINUTE SCENE)
bollywood dialogues,
bollywood hero dialogues,
Guru Dialogues,
inspirational dialogues,
Video
5:17 AM
Gurukant Desai: Khada ho jaoon ya iske liye bhi license chahiye. Aap kehte hai main kanoon ke khilaaf hoon. 40 saal pehle ek aur aadmi tha jo kanoon ke khilaaf tha, aaj hum unko Bapu kehte hai. Unke waqt main gulami kanoon tha, unhone naya kanoon banaya humari azadi ka kanoon. Main bapu nahi hoon main bas apna dhanda karna janta hoon, mehnat janta hoon garibi janta hoon.
Do kameez ek biwi aur ek saale le kar Bombay aaya tha socha tha business karoonga. Yahan pahuncha to dekha ki dhande karne ke saare darwaze band the. Who khulte the to sirf ameeron ke liye. Sarkari darwaze the yeh aap ke banaye hue ya to laat mar kar khulte the ya ji hazoori de ke. Maine dono kiya jahan laat mar sakta tha laat maari, jahan bola salaam do maine bola salaam lo. Aaj mujhe yahan khada kar ke aap log yeh kah rahe ki yeh aadmi itni laat kyon marta hai, sala salam bahut karta hai.
Kis baat se naraz hai aap meri tarakki se ya meri trakki ki tezi se ya isliye sab gaussa hai ki ek mamooli ganwar ki had se aagey chala gaya hoon main
Aapne ilzaam lagaya hai na mujhe par excise, custom, income tax ye tax who tax.jab dhanda maine shuru kiya tha In sab shabdon ka matlab nahi janta tha kai baar gira hoon tab jaa kar seekha hoon. Paise bachane ke liye Payedhooni se 20-20 km chala hoon Kelasilk ka ye bada gadda sar pe dho ke. Paise ki keemat kya hoti hai main janta hoon, agar paisa ban sakta tha to maine banaya hai lekin sirf apne liye nahi apne 30 lakh shareholders ke liye bhi.
Aapke kuch 3 minute baaki hai
Mere ko yeh golf khelna nahi aata, ye ghode ki race bhi nahi khelta hoon lekin apne dhande ka mazboot khiladi hoon main. Polyster banana janta hoon fibre, chemical wo bhi A1 quality ka sabse saste daam main. Yeh hai meri galti is liye maafi mangoon aap se………….Petrol pump attendant tha main dabbe le ke ghoomta hai jaise apna desh haath faila ke ghoomta hai world bank ke aagey paise de do sadak banana hai. Kyon na badle kismet humari humari aur humare desh ki, aap chahte hai main humesha petrol pump attendant rahoon. Humein kyon teesri duniya bulaya jaata hai humein bhi haq hai pehli duniya ban ne ka aur hum ban sakte hai. Hum wahan pahunch sakte hai who upar top tak.
Yahan tak pahunchne ke liye bahut kuch khoya hai maine yeh haath khoye hai maine latka rehta hai sala. Aur jab tak yeh enquiry khatam hogi na jaane kya kya kho doonga main apni awaz, apna dimaag. Lekin ek cheez aap mujhse nahi cheen paoge who hai meri himmat, who nahi khoonga main. Kyone ki meri himaat aam aadmi ki himmat hai, Is desh ki himmat hai. Arey is desh ki tarakki par kaunsi enquiry bithayenge aap aur humein kaun si enquiry rok payegi.
Aap ne mujhe 5 minute diya than a sadhe 4 minute main sab khatam kar diya. 30 second munafa yahi hota hai business aur agar iske liye bhi aap mujhe sazaa sena chahe to de dijiye Gurukant Desai saza se nahi darta.
For more interesting Stuffs make a visit to www.glamour.raafatrola.com .
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
1 comments:
That is a long dialogue.
Work From Home
Post a Comment