Fanaa Dialogues
Fanaa Dialogues
12:34 PM
E Khuda Aaj Ye Faisla Karde,
Use Mera ya Mujhe Uska Karde.
Bahut Dukh Sahe He Maine,
Koi Khushi Ab Toh Muqadar Karde.
Bahot Mushkil Lagta Hai Usse Door Rehna,
Judai Ke Safar Ko Kum Karde.
Jitna Door Chale Gaye Woh Mujhse,
Use Utna Kareeb Karde.
Nahi Likha Agar Nasib Me Uska Naam,
To Khatam Kar Ye Zindagi aur Mujhe FANAA Karde.
tere dil mein meri saanson ko panaah mil jaaye
tere ishq mein meri jaan fanaa ho jaaye
adhoori saans thi dhadkan adhoori thi adhooren the ham
magar ab chaand poora hain falak pe aur ab pooren hain hum
Ankhen to pyar me dil ki zuban hoti hai,
sachchi chahat to sada bezuban hoti hai,
pyar mai dard bhi mile to kya ghabaraanaa,
suna hai dard se chahat aur jawan hoti hai....
Phool hun Gulaab ka
Chameli ka mat samjhanaa
Aashiq hun aapka
Apni Saheli ka mat samjhnaa
Door Humse Jaa Paoge Kaise,
Humko Bhool Paoge Kaise.
Hum Who Khushbu hain Jo Saanson Mein Utar Jaye,
Khud Apni Saanson Ko Rok Paoge Kaise.
Bekhudi Ki Zindagi Hum Jiya Nahi Karte,
Yun kisika ka Jaam Hum Piya Nahi Karte.
Unse Kehdo Mohabbat Ka Izhaar Aakar Khud Karein,
Yun Kisika Peecha Hum Nahin Karte
Rone de tu aaj hamako, tu aankhe sujane de
Baho me lele aur khud ko bheeg jane de
hai jo seene me quaid dariya wo choot jayega
hai itna dard ki tera daaman bheeg jayega..
For more interesting Stuffs make a visit to www.glamour.raafatrola.com .
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment