Devdas Dialogues
Devdas Dialogues
11:54 AM
Dil ke chhalon ko koi shayari kahe, to parwah nahi
Takleef to tab hoti hai, Jab koi wah-wah karta hai
Apne hisse ki zindagi to hum jee chuke chunni babu,
Ab to bas dhadkanon ka lihaj karte hain,
Magar kya karen duniya walon ka,
Jo aakhari saans par bhi aitaraz karte hain.
Pyar aatma ki parchhai hai
Ishq ishwar ki ibadat
aur Mohabbat zindagi ka maksad
magar afsos ki baat hai chunni babu,
ki aapke dost ke paas to kuchh bhi nahi hai,
na atma na ibadat na maksad,
aur aap ye jo baar baar hathon main rupaye pakadte hain na dev babu,
kotho par ye tawayafo ke talwon main hote hain,
agar itna hi ghamand hai apne aap par, to hame wahi lauta dijiye,
jo humne aap par kharch kiye hain, do ratein
humari do ratein udhar rahee aap par dev babu,
jab tak aap nahi aayenge mahfil nahi sajegi,
in aankho ko aapka intazaar rahega
babuji ne kahaa gaon chhod do,
sabne kahaa paro ko chhod do,
paro ne kahaa sharaab chhod do,
aaj tumne kah dia, haweli chhod do,
ek din aayega jab wo kahenge, duniya hi chhod do
Yu nazar se nazar ki baat ki, ki dil chura le gaye
hum to samjhe the but, aap to dhadhkan suna gaye
Kaun kambakht bardasht karnay ko peeta hai hum to peete hain ki yahan par bhaith sakain tumhein dekh sakain, tumhain bardasht kar sakain, behosh ho sakain, paroo ko bhula sakain, par chandramukhi, yeh paroo ki yaad hamain hosh khone nahi deti, kyun itna peene ke baad bhi uski yaad hame satati hai din raat kyun .....kyun itna na samajh ho jata hai insaan ....kyun galti kar bhaithata hai ...kyun ek choti si galti ki itni bari saza milti hai ki zindagi ke raaste hi alag ho jate hain, ek chala jaye shadi ke raaste par aur DUSSSSHHHHHHHHHHHH.....
apne hisse ki zindagi to hum jee chuke chunni babu
ab to bas dhadkano ka lihaaz karte hain
kya kahen ye duniya walo ko jo,
aakhari saans par bhi aitaraaz karte hain
For more interesting Stuffs make a visit to www.glamour.raafatrola.com .
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment